Ye reservation ke jhamele ne dimag ka dahi kar diya hai. Peechle saal bhi yahi nautanki hui; is baar bhi kuch badala nahi hai. Meri samajh me nahi aata ki Mananiya Supreme Court ne 10 taarikh hi kyun chuni thi apne nirnay ko sunane ke liye. Ki yaa phir IIM-valon ne shyanpatti ki aur result 11 ko post karne ka decide kiya. Dono hi case me ham unke baap ka kuch nahi ukhad sakte.
Sabse jyada frustrating to ye baat hai ki ab parliament and UPA meetings me decide hoga ki kya directive bheje IIM ko. Aur ek baar vo decide ho gaya to phir kab bheje.
As usual AajTak ne to ye news sabse pahle break kar di. IIM abhi tak bol rahe hai ki unko koi directive nahi mila jabki news channel kal hi ye khabar de chuke the. I hope government directives are sent through fax/mails and not kabootars.
Menaka ji.. kya aap sun rahi hai???
ps: Most raw post I can ever write. I guess I am inspired by Ashutosh of Roadies fame. :)
Apr 21, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Bhai lambi chaudi baat na, seedhi si baat hai...
Bhaggu...bhejjo isko IIM jaldi warna frustrate ho hoke dimaag ka dahi hi karega....!!!
;-)
Post a Comment